Thursday, October 25, 2007

New Season Shayari

Karoge yaad gujre jamane ko,tarsoge humare sath 1 pal bitane ko,fir awaz doge hume vapas bulane ko,or hum kahenge darwaja nhi h kabr se bahar aane ko.

Betab tamannao ki kasak rahne do,
manjil ko pane ki lalak rahne do,
aap bhale hi raho dur najro se,
par band palko me apni jhalak rahne Do.

Bhula kar hume kya woh khush reh paayeinge,Saath nahi to mere jaane ke baad muskuraayeinge,Dua hai khuda se ke unhe kabhi dard naa de, Hum to seh gaye par woh toot jaayeinge

Zindagi ki asli udaan abhi baaki hai,
Apne iradon ka imtehan abhi baki hai
Abhi to naapi hai humne mutthi bhar zameen,
Aage to sara aasman abhi baki hai..

Guzre hue pal ko kabhi yaad naa kar,Taqdir me jo likha hai uss ki fariyaad naa kar,Jo honaa hai woh to ho kar rahega,Fikr me apni hasi yuh barbaad naa kar.

Rehne de aasma zamin ki talash kar,
sab kuch yahi hai na kahi aur talash kar,
har arzu puri ho to jine ka kya maza,
jine k liye bas 1 kami ki talash kar.

Rishte kaanch ke bane hote hain,Jo tutne par chubhte hain,Hatheli par sambhal kar rakhna inhe,
Kyonki ye tutne mein "Pal" aur "Jodne" me barso lete hain..

TAMAM GAM BHUL JANE KO G KARTA HE AAJ,
MUSKURANE KO G KARTA HE,
BAHUT G LIYE SAHARE AAPKI YADON KE,
AAJ APKE PAS AANE KO G KARTA HAI.

Ek din Unhe na dekha to Dil udaas ho gaya,
Kuch hi pal me Wo itna khaas ho gaya,
Ab tak to pata nahi tha mujhe,
Lekin Unki judaai se Pyar ka ehsaas ho gaya. !!!!!!!


Labo pe aaj unka naam aa gya,
pyase k haath jaise jaam aa gya, dole kadam to gira unki baahon me jaakar,
aaj hamara peena hi hamare kaam aa gaya. !!!!!!
(Aaj se jyada peena shuru .... )

Toote khwabo ki tasveer kab puri hoti hai,
chand taro k beech bhi doori hoti hai.
dena to hume khuda sab kuch chahta hai,
par uski bhi kuch mazburi hoti hai..

Lakho log mohabat karte hai,
Shayad hum un jaise nahi.
Dikhane ke liye hum bhi
bana sakte hai TAJ-MAHAL,
Magar MUMTAZ ko marne de
hum vo SHAHJAHAN nahi !!!!!!

Gam is Kadar mila ki ghabra k pi gaye.
Khushi thodi si mili to mila k pi gaye,
yu to na the hum pine k aadi .
Ek jam ko tanha dekha, to taras Kha ke pee gaye....

Unhone dekha aur aansu gir pade,Bhari Barsaat mein jaise phool bikhar pade,Dukh yeh nahi ki unhone hume alvida kaha, dukh to yeh hain ki uske baad woh khud ro pade

Sabhi ko kuch nahi milta,Nadi ki her lehar ko sahil nahi milta,yeh dil walon ki duniya hai dost ,Kisi ko dil nahi milta to koi dil se nahi milta

humne maaga tha sath jindagi ka, wo judai ka gum de gaye
hum yaado ke sahare hi ji lete wo bhoolne ki kasam de gaye................

Jakham Jab Mere Seene ke Bhar Jayenge,Aansu bhi Moti Bankr Bikhar Jayenge. Ye Matt Puchna Kis-Kis ne Dhokha Diya, Varna Kuch Apno ke bhi Chehre Utar Jayenge

Ek pal main sadiyon ka maza hum se poocheyedo din ki zindagi ka maza hum se poocheyebhoole hain rafta rafta unhe muddaton me humkistoon main khudkushee ka maza hum se poocheye
Dilon se khelne ka hunar hume nahi aataIsiliye ishq ki baazi hum haar gayeMeri zindagi se shayad unhe bahut pyar thaIsiliye mujhe zinda hi maar gaye...
.
Ga saku apka nagma wo saaz kaha se lau, suna Saku Kuch aapko, wo andaz kahase Lau,
Yu to Chaand taroki tarif karna aasan hai,, Kar saku aapki tarif wo alfaz kaha se lau...

Yaar mile oh jo kare pyar par jatave na,
sanu hove dard par oh seh pave na,
jad mile jaffi pake mile,
Beganeya di tarah duro hello bulave na..

Karib reh kar bhi wo hume jaan naa paaye,Aaj tak wo hume pehchan naa paaye,Khud hi bana li hum ne dooriyan,Taaki un par koi ilzaam naa aaye

Lamha Lamha Saanse Khatm Ho Rahi Hai...Zindagi Maut Ke Pahlu Me So Rahi Hai..!Us Bewafa se Na Pucho Meri Maut Ki Wajah..Wo To Bas, Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai

Duniya ka har shauk pala nahi jata,kaanch ke khilono ko uchala nahi jata,mehnat karne se mushqile ho jati hai aasankoyki har kaam taqdeero per tala nahi jata.

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai.pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....

Seediyan unke liye hain jinhe chhat tak jaana hai.
par jo chhuna chahte hain aasman ko, unhe apna rasta khud banana hai

Life me hamesha Haste raho,
Muskurate raho, Gaate raho,
Gungunate raho Taki tumhe dekhte hi
log samajh jayen k tum 'UNMARRIED' ho

PYAR VYAR to 1 bahana hai.
Ankh mile na mile LIPS KO milana hai.
Yehi style hai sab ASHIQON ka, kya kare yaar
RAJ KAPUR KA nahi IMRAN HASHMI ka zamana hai.

Mere chehre ki udaasi ko na jaan sake wojite ji na hume pehchaam sake wode di humne apni jaan unke pyar maifir bhi hamari mohobbat ko saccha na maan sake wo

Yun Na mil mujhe khafa ho jaise
Saath chal Mauj-e-saba ho jaise
Hitchkiyaaan raat bhar aati hi rahi
tune fir yaad kiya ho jaise....................

Theek hai hum bas ab aansoo na bahao
Dil ke dilase ko rumaal na badhao
Kal kahan se layenge tumhein aansoo pochne ko
Is dil ko jhoote dilase ki aadat na lagao

Bin sawan Barsat Nahi Hoti Suraj Dube Bina raat nahi Hoti
Is liye Dost kissi ka dil na todna kyon ki Dil tutne ki awaz nahi hoti.

Baat-Baat Pe Sataya Nahi Karte,
Samjhi Hui Baton Ko Samjhaya Nahi Karte,
Karte Hain Jin Dosto Se Hum Pyar Itna.
Unhe Hum Unki Ehmiyat Samjhaya nahi karte.

Mahobbat mujhe thi unse itni sanam yaadon mein dil tadpta raha, mout bhi meri chaht ko rok na saki, kabr mein bi dil dhadkta raha.

Husn wale khub wafaon ka sila dete hain, har mod par ek jakhm naya dete hain, Ae dost is jahan mein koi apna nahi,jab aag lagti hai to patte bhi hawa dete hai.

Najane usper itna yakin kyon hai,uska khayal b itna haseen kyu hai,suna hai pyar ka dard mitha hota hai,To ankh se nikla ansu namken kyu hai. .

Jane se Pehle kusur to batya hota;itna hi pyar Tha to hum par haq Jataya hota,Hum to Fir palat k ruk Jate;Tumne hath faila kar wapis bulaya toh hota

Mere dil mein tha thikana unka;Do kadam bhi unse Aya na gaya;Maine pucha ke kyon toda wada mera?wo hass kar bole Nibhaya na gaya.

Itna kyon chaha use ki bhula na sake, itna kyon paas aaye ki door ja na sake, ab tanhai mein bethe to sochte hain, kyon chaha use jise kabhi pa na sake..'
Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,diwane dil pe kabu hum pa na sake,aaj itne karib se gujar gaye wo,phir bhi unka hath hum tham na sake

Makki ki Roti, Nimbu ka Aachar,Suraj Ki Kirne, Khushiyo ki Bahar,Chand Ki Chandni, Apno ka Pyar,Mubarak Ho Aapko, HOLI ka Tyohar


Kuch lafz bina kahe alfaaz hote hain,
kch log is kadar khaas hote hain.
Door ho jae chahe nigaho se,
lekin fir bhi dil k behad paas hote hain.

Aaj bujh gaye hai ghar ghar mein diye sanskar ke,Maa baap bhi kimat mangte hai bachon ko sambhal ke,Sirf matlab se banti hai rishte bhi yahan pyar ke, Kaisi duniya hai jahan jiya bhi jata hai dusron ko mar ke...

Ishq se milti hai jo tanhaiyan,
Hum kaise unka dard byan karange.
Ek se hi mohabat itni kar li hai,
Ke auron se ab mohabat kya karenge.

Dard me koi mausam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebsi,
Hum sabhi k ho jate hain Par koi humara nhi hota.

Phulo pe laga pehra acha nahi lagta,
rang ishk ka na ho gehra to acha nahi lagta.
Muskurate raha karo sada e dost,
tumhara udas chehra acha nahi lagta

Kaash hum b kisi ankh k noor hote,
kisi k dil ka suroor hote.
Agar banane wale ne hame b khubsurat banaya hota,
To hum b kisi na kisi k katil zaroor hote.

Phir aaj ek baar jeene ko maan karta hai, Phir aaj ek baar hawaon ki sarsarahat me dil jhum utha hai,
Phir aaj ek baar mausam nayi geet gunguna rahi hai, Phir aaj ek baar tumhari maujutgi meri zindegi badal rahi hai...

Mat rakh humse wafa ki ummidhumne har dum bewfai pai hai.Mat dhundh hamare jism pe zakhm k nishan,humne har chot dil pe khai hai.

KAISE BHI INDIA KO JITAO
Sehwag ki maa ko bulao,
Sachin ko Pepsi pilao,
Ganguly ko Chawanprash khilao,
Dhoni ke baalo mein Gel lagao,
Dravid ko castorl pilao
KAISE BHI INDIA KO JITAO
Irade hai nek, hosle hai buland,
kasam hai hindustan ki ,
phir wohi jalwa dikhaenge,
Murlitharan ki ball ko
stadium ke bahar pahuchayenge.....
aaj ek ball aur khel lo ,
aaj ek bat aur pakad lo ,
aaj ek wicket aur le lo ,
aaj ek match aur jeet lo...
aaj bas aaj...
Pray for India...

Mohabbat ek baar ho jaaye to bholaapan hai. Dujee baar kee jaaye to apnaapan hai,Teejee baar kee jaaye to deewaanaapan hai,Yadee ab bhee baaz na aao to kameenaapan hai!!

Boy- chalo!! kisi viran jagah chalte hai...!
Girl-tum aisi vaisi harkat to nahi karoge na...?
Boy-bilkul nahi! Girl-to fir rehne do....!!*Girl: if u will try 2 kiss me, mai shor macha dungi. Boy:Lekin yaha to dur tak koi nahi hai.Girl: i know but formality to karni hi padegi..

Kisi ladki ko chedo us ka haath pakd lo agar wo wapis thapad maar de to kaho"tum pehle imtihaan main pass ho gae mujhe aise hi ladki chahiye thi...

Hasso Ajj Itna Kai Sada Siskyo Ki Sonayi Na Day Kudha wo hai jo rahe samne per dikhaye na day

Khushbu teri dosti ki mujhe mehka jati hai,
teri har bat mujhe behka jati hai,
saans to bahut der leti hai aane jane me,
har saans se pahle aapki yad aa jati hai...

Mere dil ki kahani ye bayan karti hai,
Mohabat ashiqo ko sirf badnam karti hai.
Is badnami k bawzud jo mohabat krte hai,
Unhe marne k bad duniya salam krti hai.

Kashish honi chaiye kisi ko yaad karne ki,
lamhe to apne aap mil jayenge,
waqt hone chaiye kisi ko milne ka,
bahane to apne aap mil jayenge.

Milegi PARINDO ko manzil ek din,
ye faile huey unkey par bolte hai.
wo log rahtey hai KHAMOSH aksar,
zamanne me zinke huner bolte hai.

Dekho awaz dekar pas hame paoge,aoge tanha par tanha na jaoge,dur rehkar b tumhi pe nazar he meri,Hatho se tham lenge jab b thokar khaoge..........

Ishq se milti hai jo tanhaiyan,
Hum kaise unka dard byan karange.
Ek se hi mohabat itni kar li hai,
Ke auron se ab mohabat kya karenge.
Phulo pe laga pehra acha nahi lagta,
rang ishk ka na ho gehra to acha nahi lagta.
Muskurate raha karo sada e dost,
tumhara udas chehra acha nahi lagta.

Shaadi Ke Saat Phere, Saat Saalon Mein Kaise Badalte Hain?
Zaraa Gaur Kijiye...... ......... .......... ......... . 1st Year: Maine Kaha G Khana Kha Lijiye,Aapne Kaafi Der Se Kuchh Nahi Khaya Hai. 2nd Year : A ji, Khana Tayar Hai,Laga Doon? 3rd Year: Khana Ban Chuka Hai,Jab Khana Ho Bata Dena. 4th Year: Khana Banakar Rakh Diya Hai, Main Bazaar Ja Rahi Hoon, Khud Hi Daal Ke Kha Lena. 5th Year: Main Kehti Hoon Aaj Mujhse Khana Nahi Banega, Hotel Se Le Aayo. 6th Year: Jab Dekho Khana-Khana- Khana, Abhi Subah Hi To Khaya Tha. 7th Year: Main Tumhare Liye Khana Bana-Bana Ke Tang Aa Gayi Hoon, Mujhe Tum Talaak De Do.


Iss zamane se bahot alag ho aap,
wo khush kismat hai jiske paas ho aap.
Hamare liye wo waqt hi haseen hai
jab hamein yaad kar dil se muskura lete ho aap.

dilo ko kharidne waale hazaar mil jayenge, duniya main daga dene waale baar baar mil jayenge,
milega nahi aapko hum jaisa koi , milne ko DOST beshumar mil jayenge.
Har sagar ke do kinare hote hain,
Kuch log jaan se bhi pyaare hote hain.
Ye zaroori nahi har koi paas ho,
Kyonki zindagi me yadon ke bhi sahare hote hain.

Mohabbat bhi ajeeb si hoti hai,
har lamha unki kami si hoti hai.
Chahate hai unko iskadar hum,
zarasi kharoch unko lage to takleef Hume hoti hai.
Sharaabi ilzaam sharaab ko deta hai,
Aashiq ilzaam shabaab ko deta hai.
Koi nhi krta qabool apni bhool,
kaanta bhi ilzaam gulaab ko deta hai.

likho aisa ki kalam bhi rone per majboor ho jaye,her lafz mein dard bhar do itna ki padne wala milne ko majboor ho jaye

Yaad ko keh do ki woh yaad na aaye,
Dil me chippe dard ka paigam na laye.
Jis mohabbat ko apni hi najar lag jati ho,
Us mohabbat ka koi salaam na laye.

fareb tha hasi mein, ashiqui samajh baithe, maut ko hi apni zindagi samajh baithe,
waqt ka majak tha ya badnasibi hamari, uski do baaton ko chahat samajh baithe

Jinki yaad tumhe khushi k lamhon me aaye,
samjho ki tum unhe pyaar karte ho.
Aur jo gum me yaad aye,

jaan lo ki woh tumhe pyaar karte hai.
Hamare zakhmo ki vajaha bhi woh hai...
hamare zakhmo ki dava bhi woh hai,
woh namak zakhmo pe lagaye toh kya hua,
mohabbath karne ki sazah hi woh hai.....

Jab ho zarurat to koi sahara nahi aata,Bagair raat k asma me sitara nahi ata.Abhi waqt hai thaamlo hamari dosti ka hath,Aisa dost zindgi me dobara nahi aata.