Wednesday, June 13, 2007

Khash Shayari2

1. Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chod diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

2. Aaisi bewafai ki usne,
ki mohobat bhi badnam ho gai,
aapni mohobat ki itni kimat vasul ki usne,
ki hamari arthi tak nilam ho gai....
===================================

3.
Khayaalo ko kisi aahat ki aas rehti hai,
Nigaaho ko teri talaash rehti hai.
Tere bina koi kami nahi lekin,
Tere bagair tabiyat udaas rehti hai....
===================================
4.
Waqt ke dayare se hum nikal na jaaye,
Aap ke dil se kahi hum utar na jaaye.
Hum roz aapko yaad dilaya karenge,
Warna kahin aap hume bhool na jaaye....

5.
Patta -2 Buta-2 Hal Hamara Janea Hai
Janea Na Janea ,Tum He Na Jano
Wo Tho Sab Kuch Janea Hai "

6. Aaj kiya zikr kisi Ne jo TumHara
Halkey Halkey Say phir Tum YaaD Anay Lagay
Main Purani Baaton kay samander Main DooBney laga
Dil Main Ek Baar phir Tum utarnay lagay
palkoon kay Darwaazey ko BanD kiya main Nay
Aur Ansoo Ban k Tum Aankhoon Say Behnay Lagay
BeBasi itni k Mare Haath uth Gay
DoBara ALLAH Say Tumhian Mangnay Lagay
zikr Tumhara sun ker Ek Baar phir
Mare jazBaat Tumhari Tamana kernay lagay
Bana k Tasveer Teri Mare zehn Main
Mare Tootey Armaan Rooney lagay
Paa k TumHian khwaaBoon Main Hum
jaag k phir Tumhian khooney lagay
Waada chahta hoon TakDeer sey Yeh
k BaDal Dey woh jo Honay lagay

7.Zindgi ki rahoon mein chala jaa raha hoon,
manzil ko talaashne ki kosish kiye jaa raha hoon.
Aapka saath hota ho to lagta hai manzil ko paa lunga,
anjaane rahoon par har gum ko muskurakar seh lunga.
In rahoon par mujhe akale chood na dena,
mujhse nazreen pher na lena.
Aapka saath nahi hoga,
to humare pass humrara khwab nahi hoga.
Bin khwab ke hum ji nahi payenge,
bin aapke hum mar bhi nahi payenge.
Aise zindgi se hume bacha lena,
khuda ke liye hi sahi « jaan » par hume apna len

8.Aaj dil ko yaad ayi unki bahut
Aaj unko mehsoos kiya bahut
Aaj rona chahta hun bahut
Kya unko ahsaas hain itna
Aaj un k liye tadhapte hain hum bahut

9. Is tadhap se aankh band karlete
Aur unka deedar karte hain hum bahut
Aaj unke liye deewane hain hum bahut
Koi unse kehde itna
Aaj un ka hi intezaar karte hain hum bahut

10. Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se
Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.
Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.
Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.
Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.
Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se.
Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.
Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se.

11. khobsoorat hain wo lub
jo pyari batein kertey hain
khobsoorat hai wo muskurahat
jo dosaroon ke chehroon per bhimuskan saja de
khobsoorat hai wo dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tarpey

khobsoorat hain wo jazbat
jo kisi ka ehsaas karein

khobsoorat hai wo ehsaas
jo kisi ke dard ka madawa baney

khobsoorat hain wo batein
jo kisi ka dil na dukhaein
khobsoorat hain wo ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho

khobsoorat hain wo ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jaein

khobsoorat hain wo Hath
jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein

khobsoorat hain wo qadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey berhein !!!!!
khobsooart hai wo sooch
jo kisi ke liye acha soochey
khobsoorat hai wo insan
jis ko KHUDA ne ye
khobsoorati ata ki.

12. WOH AUR HONGE JO KHELTE HAI DILO SE
HUM DILO KO MILANE KA HUNAR JANTE HAI
ITNA MAT ITRA IS DIL PE,
HUM DILO KO CHURANE KA HUNAR BHI JANTE HAI..

13. Jawan hoke aapne kya kiya,
Ik khadim ko kafir bana diya.
Dar choda nahin tha
Khuda ka kabhi,
Har rasta ab aapne
dar apne se mila diya.
Lab khulte the naam
maula ka lene ko kabhi,
Naam apna hamare hothon
pe ab apna saja diya.
Anjaane se shahar mein
bhatak raha tha Preet,
Thama jo aapne haath,
Shahar humne apna ik basa liya.

14.
Safar kisi manzil ki talaash mein nahin meri
Theher nahin sakta isliya chala karta hoon

sookh gaye hain shayad ab ankhon mein ansooo
Dard bhi ab main muskurake bayan karta hoon

15.woh kahtey hein kya aada hein muskarane ki ,
woh kahte hein kya ada hein muskraane ki
magar woh kya jaane yeh aadat hein gum chupaane ki .......

16. Dil ke ehsaas hain jo ruk nahin paate hain,
Toote hue khawab hain jo beh hi jaate hain,
Behte hain aaj to beh jaane do inhe,
Ghav bhar jaayen to accha varna nasoor ban jaate hain. .......

17. Wo ho kar humse khafa ja ke qaber mein lete hain
use is haal mein dekh ker aaj to ro lene do
unse jaker mein kahe bhi deta hale dil apna aaj
mager jo kabhi nahi chain se soyi use aaj to soo lene do

18. aaj jo masoomiyet hain unke chehre per
is aftabi noor mein muhjhe khud ko khoo lene do
najane kab se ruke hue hai ye kambakht aansoon
aaj kuch na kehna bas aaj jee bhar ker ro lene do .......

19. Dard Ko bhi Ab Dard Hone laga hai,,,,,,
Dard Khud hi Mere Zakham dhone lagha hai,,,
Dard ke sath kabhi Roye na hum,,,,,,
Dard Khud hi Humko chhu kar Rone Laga hai,,,,,,,,,,,,,

20. KASH SHAYARI HUM BHI LIKH PAATE,
LAFZON KE KHEL HUM BHI KHEL PAATE,
KHUDA NE DIL PAR CHOT KUCH AISI DI..
AANSUON KO CHUPAKE KASH HUM BHI MUSKURA PAATE.

21. aapke khayalon se fursat nahi milti,
hame ek pal ki raahat nahi milti;
mil to jaata hai sab kuchh,
bas aapki ek jhalak nahi milti.... .......

22. Ishq vale ankho se ankho ki baat samaj lete hai,
sapne me mil jaye to mulakat samaj lete hai.
Rota to asmaan bhi hai apni dharti ke liye,
log uske ashko ko barsat samaj lete hai......

23. Har din ek nai kahani banti he,
Kahani me dosto.n se kai nadani bhi hoti he,
Nadani me hooee bhoolo.n ko saja nahi dete,
Aur saja dekar yuhi apni ankhon se door nahi karte. .......

24. Kabar ki mitti utha le gaya koi, Usi bahane hame chukar gaya koi,
Tanhai aur andhere me khush the hum, Lekin phir se intezar karne ki wajah de gaya
koi .......

25. Tum nahi ho to her khushi kum hai
aa bhi jao ke zindagi kum hai
tere dum se hi main mukammal hoon
tere bin aati sans bhi kum hai .......

26. khamoshiyan teri mujhse baate karti hai meri har aah har dard ko samajti hai
pata hai majboor hai tubhi aur main bhi phir bhi nigahen tere deedar ko tarasti hai
....
27. Mujhe kisine bewafa ka nam diya,
Sathi ne jaisa zehar ka jam diya,
Jo kabhi kaha karte the, Hame bhula mat dena,
Unhone hi bhul jane ka paigam de diya...!!

28. pagal nazaren dil diwana lagata hai.........
tera mera pyar purana lagta hai............
phoolon me lipte pathar aaye hai.............
ye to koi dost purana lagta hai....

29.
Chod diya hamara sath to koi gam nahi.
Bhul jayenge aap hume, bhulne wale hum nahi...
Aapse mulakat na ho pai to koi baat nahi,
aapki ek yaad mulakat se kum nahi

30. Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega

31. Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah

32. Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain

33. Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

34. Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai

35. Suna hai asar hota hai baaton me,
tum bhi bhul jaoge do char mulaqato me.
humse ruth kar jaoge kahan,
tumhari dosti ki lakir hai in hathon me.

36. Jab humne unse pucha sapna kya hota hai to unhone kaha band aankho mein
jo apna hota hai khuli aankhon mein wahi sapna hota hai.....!!!!

37. Muddat se door the hum tum,
ek zamane ke baad milna acha laga.
sagar se gehra laga aapka pyar,
tairna to aata tha par doobna acha laga....

38. Sajde dil ke tarane bahut hai zindigi jeene ke bahane bahut hai
aap sada muskurate rehna apki muskurahat ke deewane bahut hai

39. Jinki yaad mei hum dewane ho gaye
woh humhi se begane ho gaye
shayad unhe talash hai naye dosto ki
kyoki unki nazar mei ab hum purane hogaye

40. Zamane bhar ki baton mei hame bhula na dena
jab kabhi yaad aaye to zara muskura dena
zinda rahe to milenge dost
nahi to har diwali mere naam ka diya jala dena!

41. Har daag, daag nahi hota...
har dost wafadar nahi hota...
yeh to dil milne ki baat hai...
varna 7 feero mein bhi ......
pyar nahi hota!

42. Tamanao mei bhi tumhe yaad karenge...
teri har baat par etbar karenge...
tujhe aane ko to nahi kahenge...
par fir bhi tera intezar karenge...

43. Chirago se andhere door ho jate,
toh chand ki chahat hamme na hoti,
agar kat sakti akeli ye jindagi
to apki jaroorat hamme na hoti..

44. Dil to Jalkar rakh ho gaya,
magar in ankho se roya na gaya,
kuch jakhm judai ke aise mile ki
phoolon ke bister pe bhi soya na gaya.

45. Badi Der Se Paimana Liye Baitha Hoon,
Koi Dekhe To Samjhe Ke Piye Baitha Hoon.
Zindagi Bhar Ke Liye Rooth Ke Jaane Wale,
Main Abhi Tak Teri Tasweer Liye Baitha Hoon
***
46. Maikada Bhi Apna Hai, Mehfil Bhi Humari Hai
Humne Zindagi Apni Jaam Mein Guzari Hai
Aaj Tera Chehra Kyun Khil Utha Hai Jana
Yeh Mausam Ki Shararat Hai Ya Nazar Humari Hai
***
47. Peeta Hoon Sharaab Tera Gam Bhoolanae Ko,
Kambakth Nasha Hi Teri Shakl Bana Deta Hai.
***
48. Ankh Khule To Cehra Tumhara Ho,
Ankh Band Ho To Sapna Tumhara Ho.
Mujhe Marne Ka Gam Na Hoga,
Gar Kafan Ki Jagah Dupatta Tumhara Ho.
***
49. Faasle Kum Bhi Kiye Meine Faasle Mitane Ke Liye ;
Door Tum Kyun Chale Gaye Yaad Aane Ke Liye;
Woh Wade Woh Kasme Woh Irade Bhool Jane Ke Baad;
Phir Kyun Tum Chale Aaye Khwabon Mein Mujhe Satane Ke Liye;
Saath Teri Tarah Chhod Rahi Hain Saanse Meri ;
Lo Koi Chala Aaya Hai Mujhe Le Jaane Ke Liye
***
50. Woh Hatho Se Pilaye To Mein Kya Karu
Woh Aankho Se Pilaye To Mein Kya Karu
Mein To Pine Ka Bilkul Aadi Nahin
Jam Khud Chal Ke Aaye To Mein Kya Karu
***
51. Chalak Rahi Hai Sharaab Ki Bondein Paani Ki Tarah,
Dil Bhar Gaya Hai Mera Dukho Se Samudra Ki Tarah,
***
52. Chahakar Bhi Nahi Bhula Pate Tujhe Hum,
Teri Yaadon Ke Sahare Ruk Nahi Sakte Peene Se Hum.
***
53. O Bewafa Kya Tujhe Meri Bikul Yaad Nahi Aati,
Kya Meri Yaad Tujhe Bilkul Nahi Satati,
Yeh Sher Likhkar Mein Diley-Byan Na Karta,
Par Kya Karoon Teri Tasveer, Tera Haal Nahi Batati
***
54. Tumhara Intezar Karte Karte
Humne Peena Seekh Liya
Maut Ka Intezaar Karte Karte
Humne Jeena Seekh Liya.

55. din mein yaad aate ho;raat mein yaad aate ho;
kabhi-kabhi to itna yaad aate ho ke,
aaina hum dekhte hain nazar tum aate ho .......

56. Maut jab saamne aati hai to jee letaa hoon,
Zakhm muh kholne lagte hain to see letaa hoon,
mujhko maaloom hai masti ki haqeeqat lekin,
Hosh jab hadd se guzarti hai to pee letaa hoon!!

57. Dard se dosti ho gayi yaaron,
Zindagi bedard ho gayi yaaron.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaaron....

58. Ishq sabhi ko jeena sikha deta hai,
wafa ke naam pr marna sikha deta hai,
ishq nahi kiya to karke dekho yaar har
dard ko sehna sikha deta hai.

59. Hasraton pe rivaajo ka sakhta pehraa hai,
Na jaane kaun si ummeed pe jaake yeh dil thehraa hai,
Meri aankhonmein se chhalakte hue yeh ashk aur gam ki kasam;
Mera yeh pyaar.... Bahot gehraa hai...

60. Aansuo mein raatbhar rona pada ,
Tere milan se to haath dhona pada ,
Tera milna tha khwaab mera ;
Khwaab laane ke liye sona pada...

61. Usko chhaha bhi to ikraar karna na aaya...
Kkt gai umr saari hamein pyaar karna na aaya....
Usne maanga bhi agar kuchh to judai maangi ;
Aur.... hamen inkaar karna na aaya....

62. Kuchh pal ke liye aa jaao vaapis ,
Hum dil ki kahaani keh denge...
Samje na tum aankho se ;
Voh baat zubaani keh denge....

63. Zindagi jaise ek sazaa si ho gai hai ,
Gum ke sagar mein is kadar kho gai hai ,
Tum aa jaao vapis yeh gujaarish hai meri ;
Shaayad muje, Tumhaari aadat si ho gai hai...

64. Yaad mein teri jahan ko bhool jaati hoon mein...
Oh bhoolnewale, Kabhi tujko bhi yaad aati hoon mein ?
Jitni masoom hoon mein aapse bichhadkar ,
Itnee siddat se to aapne muje chhaha bhee nahi...

65. Soe kahan pe? Aankh ne takiye bhigoye hai...
Aaj hum bhi kisi ke liye khoob roye hai...
Dil ke darvaaze ko har waqt khula rakhte hai...
Jaane kis waqt tera bulaava aa jaye...
Kabhi khood pe, Kabhi halaat pe rona aaya...
Baat nikli, To har ek baat pe rona aaya...

66. Taarikh ki duniya mein kabhi aisi bhi dor aayi hai...
Lamhon ne khata ki hai, Sadiyon ne sazaa paayi hai...
Zindagi mein do hi lamhen badi mushkil se guzaare ,
Ek tere aane se pehle.... Aur ek tere jaane ke baad...

67. Raat Hogi to Chand bhi Duhaaee Dega!
Khwaabo mai Woh cheraa bhi dikhai dega,
Yeh Mohabbat hai, Soch ke karna 'yaaro'
Ik aansu bhi gira to Sunai dega.......

68. Khamoshi ki zubaan apne aap mein itni beimaan hai
Bin bole unko pata hai humare dil ke armaan hai

69. Zindagi mein aisa pehle kabhi na dekha
khamoshi ki apni ek alag zubaan hai
Dil ke aaene mein unki hi tasveer hai
lafz hoton se nikle to yeh muhabbat ki tauheen hai
Mohabbat ki zuban mein lfz nahi hote
Awaz toh bas dil ki hoti hai.....................

70. dard bhi hai jakhma bhi hara, kambakht aye mausam sard bhara
need ayye bhi kaise ,chot khaya kambakht dil jo tahra

71. Haseeno ke husne pe mat jana dilwalo, yea husne nahi naquab hai...
unke dil ke andar jhank kar dekho, mohobaat nahi tezaab hai.

72. prem ki parivartit paribhasha-
man ko poochhe kaun, tan ki aasha;
lupt laaj sankoch, naino ki bhasha;
anant pipasa, anant pipasa;
prem ki parivartit paribhasha!

73. Chaand sitaroN kaa noor thujh par barseN
Iss jahaaN kii itnii khushii tujhe mileN
Ke ek gham keliye bhii tu tarrseN......

74. Khudrat ke karishmon mein agar raat na hoti
to khwab mein un.se mulaqaat na hoti.....
Woh wada to kar gaye the aayenge khwab mein
Mare khushi ke neend na aaye to kya karen

75. teri khawish us waqt bahut tadpati hai..
sawan me koi boond jab hotho par aakar bikhar jati hai..
meri ruh bhi tadpne lagti hai us pal..
jab thandi hawa teri gali se guzar kar aati hai..

76. Lamhe yeh sunare saath kal saath ho na ho,
kal mein aaj jaisi baat ho na ho,
par teri yaadon ke haseen pal dil mein rahenge,
tamam umar mulaqat ho na ho! .......

78. Kisi ki mithi bato per fisal jana nahi achha
Fisal ker apne dil ka raaz batana nahi achha
Jise tum raaz samjoge vo badnaam ker dega
Har ek ko apne dil ka jaam pilana nahi achha

79. Chalte hain to lagta hain ki sadiyo ka sath hain
aur bichhadte hain to do din main bhula dete hain

80. Maikada Bhi Apna Hai, Mehfil Bhi Humari Hai
Humne Zindagi Apni Jaam Mein Guzari Hai
Aaj Tera Chehra Kyun Khil Utha Hai Jana
Yeh Mausam Ki Shararat Hai Ya Nazar Humari Hai

81. Peeta Hoon Sharaab Tera Gam Bhoolanae Ko,
Kambakth Nasha Hi Teri Shakl Bana Deta Hai.
Woh Hothon Se Pilaye To Mein Kya Karu
Woh Aankho Se Pilaye To Mein Kya Karu
Mein To Pine Ka Bilkul Aadi Nahin
Jam Khud Chal Ke Aaye To Mein Kya Karu

82. Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai
Koi aankhon aankhon mein mulakaat kar leta hai
Bada Mushkil hota hai tab Jawab denA
Jab koi KhamosH rehkar Sawaal kar leta hai

83. Kaash agar main kuch ho sakta
Tau main tumhari ankhon ka aansoo hota
Janam leta teri aankhon mein
Zindagi guzarta tere gaalon pe
Aur aa ke marr jata tere honton pe

84. aapne-aapne andaaz hote haiN,
jaagti ankhon mein bhi khwaab hote haiN,
zaroori nahin gum mein ansoo nikle,
muskurati aankhon min bhi sailab hote haiN.

85. Nazar jhukaoge to puchhenge Haale dil tumse
Nazar uthaoge to khali salaaM kar denge

86. Falak pe teer ka bhi ek nishaana tha,
udhar bizliyaan chamak rahi the,
idhar hamaara aashiyaana tha,
Pahonch rahi the kinaaare pe kisti-e-ummeed,
is toofaaan ko bhi abhi aana tha.

87. Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....

88. Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

89. mere andaaz wo samajh naa sake,
mere jazbaat wo samajh naa sake,
wo samajh naa sake meri majbooree,
mere haalaat wo samajh naa sake...

90. phool kushboo se pooche hum aapke hai kaun,
dil dhadkan se pooche hum aapke hai kaun, hum to hai nadaan...
aap hi bataye hum aapke hai kaun

91. ek lamhe me unhone jindagi sanwar di,ek lamhe me unhone jindagi ujad di,
par kasoor unka nahi hamara hai,kyonki us ek lamhe me hamne jindagi gujar di.

92. mana hum aap se mil nahi pate,aisa nahi ke aap aap hame yaad nahi aate,
mana ke jahan ke sab rishte nibhae nahi jaate,per jo bas jaate hain dil main wo fir
bhulae nahi jate

93. Kisi ko mil jaati hain rangeen baharein,Kisi ko chaman bhi nahi milta...
Kisi ki kabar par banta hai Tajmahal,Kisi ko kafan bhi nahi milta.....

94. darte hain aag se kahi jal na jaaye, darte hain khwab se kahi toot na jaye.
Par sabase jyada darate hain aapse ...Kahi aap hame bhool na jaaye

95. Aankho ke kinare jo hamne bhigoay nahi ,
vo sochte hai ki hum roay nahi,
Woh puchte hai ki kisko dekha khawabo mein,
woh kya jane hum ek arse se soye nahi..

96. Woh hamse ruswa hain ki
hum gairon ko dekh kar muskurate hain,
par woh kya jaane ki
hamein har chehre mein woh nazar aate hai..

97. In Yadoon aur Lamhoon ko apnay seenay kee kitaab main Sanbhall kar rakhna..
Agar zindgee kay kisee kay morr par hamaree yaad Ajaye to is kitaab ko khool kar
parr lena Sakoon Milay Gaa

98. ye raat itni tanha kyon hoti hai,kismat se apni sabko sikayat kyon hoti hai,
ajeeb khel khelti hai kismat,jise hum pa nahi sakte usi se mohabbat kyon hoti hai.

99. Tumhara hamara rishta to aankhon aur palkon jaisa hai,
Agar palak kuch der na jhapke to aankh ro deti hai...Aur
agar aankh mein kuch chala jaye to palak tadap uthti hai.

100. Bag Ki Baat Baag Ka Mali Hi Samje, Fulo Ka Dard zukti Dali Hi Samje,
Ye Kaisi Rit Banai Duniya Walon ne, Diye Ka Dil Jale Aur Log Diwali Samje

101. Dil kabhi dil se juda nahi hote, yuhi hum kisi par fida nahi hote,
pyar se bada to dosti ka rishta hai, kyuki dost kabhi bewafa nahi hote...

102. Koi wada nahi phir bhi tera intezaar hai,Judai ke baad bhi tumse pyar hai.
Tere chehre ki udasi de rahi hai gawahi,Mujhse milne ko tu bhi bekrar hai...

103. Zindagi ek ittefaq hai, ise aazmaa kar dekh lo
Patthar dil bhi baraste hai zara chahat bhar kar to dekho

104. jo hasaye wo dosti,
jo rulaye wo pyar,
jo milaye wo dosti,
jo juda kare wo pyar,
jo bole wo dosti,
wo chup rahe wo pyar,
pher bhi log dosti chud kar,
kiyo kartye hai pyar

105. Tujhe dekhe bina teri tasweer bana doon
Tujhe mile bina tera haal bata doon
Hai dum meri mohabbat mein itna
Teri aankh ka aansu apni aankh se baha doon

106. Yeh Dil Ho Gaya Tumhara, Har Yaad Mein Ho Tum,
Pukarta Hai Tumhe, Kyun Nahi Laut Aate Ho Tum.
Saansein Hain Chalti, Har Saans Mein Ho Tum,
Tanha Ki Tanhaai Hai Roti, Phir Bhi Khaamosh Ho Tum.............

107. aasaan nahi hota kisi ko bhulana.
chhe vo apna ho ya begana
dil ki baatain bas samajhta hai dil hi,
inhe kya samjhega ye zalim zamana??.

108. Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu..

109. Kaash who nagme hame sunaye na hote,
Aaj unko sun kar aansu aye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.

110. Khuda se thoda raham khareed lete,
Aap ke zakhmo ka marham khareed lete.
Agar kahi bikti khushiya meri,
To saari bech kar aap ka har ghum khareed lete..--

111. baat badlne se jajbaat nahin badalte
aavaj badlne se ahsaas nahin badalte
naam badlne se andaaj nahin badalte
kahani badlne se anjaam nahin badalte
similary
company badlne se dost nahin badalte
tabhito hum aapke dard ko hain samjhlate

112. Tussi hasde ho saanu hassan vaste,
Tussi ronde ho saanu rovvan vaset,
Tussi 1 vaar ruske te vekho,
Mar jayenge tuhanu manaan vaste.

113. is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye.
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata,
Yu yaad na karke saza na dijiye.

114. Kaash who nagme hame sunaye na hote,
Aaj unko sun kar aansu aye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.

115. Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu

116. Haqiqat samjho ya afsana,
Begana kaho ya deewana,
Suno is dil ka fasana,
Teri dosti hai mere jeene ka bahana..

117. "Raat ki khamoshi raas nahi aati"
"Meri parchayi bhi ab mere paas nahi aati"
"Kuch aati hai toh bas teri yaad
jo aakar ek pal bhi mujhse door nahi jaati"..

118. Dil na umid to nahi, nakam hi to hai,
Lambi hai gam ki shyam magar, shyam hi to hai.

119. Bahut roai hai us aasu ke khatir,
Jo nikalta hai khushi ki intaha per.

120. Zakhm kuch aaise huai phulo per soya n gaya,
Jisma jalkar khak aakho se raya n gaya.

121. Aab es hadd pe laya hai intazaar muzhe,
Woh aa bhi jaye to aaye na yaki muzhe.

122. Ek diya jo sare rah jalane nikle,
Aandhya bankar kai log buzane nikle.

123. Aapko miss karna roz ki bat ho gai,
yaad karna aadat ki bat ho gai,
apase dur rahena kismat ki bat ho gai,
magar aapko bhulna
apane bas ke bahar ki baat ho gai!

124. Ae barish jara tham ke baras,
jab mera yaaar aa jaye to jam ke baras,
pehle n baras ki woh aa na sake,
phir itna baras ki wo jaa na sake...

125. Har ishk ka matlab gam nahi hota,
duriyan badhne se pyar kam nahi hota,
waqt bewaqt ho jati hai aankhen nam
kyonki yaadon ka koi mausam nahi hota

126. Gujare the jo lamhe tere sath,
talash unhe yeh nazar bar bar karti hai,
gum nahi jo kismat ne juda kar diya,
teri judai bhi to hamse pyar karti hai

127. Jo hai dil mein batakar to dekho,Chahat ko honthon pe lakar to dekho....
Sab kuch mil jayega usi pal,Lekin mohabbat ko ek baar jatakar to dekho....

128. Jalao koshisho ke deepak, raat ki subah ho jaye,
Tumhari hatho se logo ke dil ki kayanat Badal jay
Apne ko itna zindadil banao, Zindagi aise jiyo ki arthi bhi baarat ban jaye....

129. Dil ka gulab jise chum ke diya,Usne muhje bahar se mehrum kar diya...
Tumhari berukhi ne to hamara naam kar dala,Hume shayar bana ke mera saathi jam bana
dala...

No comments: